kuch paane ke liye kuch khona padta hai #motivation #hindimotivation #hindishayri #success #safalta #inspire
Kabhi kabhi zamaane ki thokarein khake Khud samabhalna padta hai Badal jaae koi agar mausam ki tarah Iska ehsas karaane ko khud badalna padta hai Kismat se kuch yoon hi nhi milta yahan Kisi manjil ko paane ke lie durgam raahon pe chalna padta hai
Yakeen jiska har pal kiya soche samjhe bina Yakeen tod de agar wo shakhs kabhi Fir kisi pe yakeen aane ko Maut ke kue mein dhakelke fir se nikalna padta hai
Kehte hain sab log yahaan Kuch paane ke lie kuch khona padta hai Maaloom hai humein bhi kabhi-kabhi khud ki khushi ko khud rulaake sona padta hai
Zamaana sadaa deta rhega pal-pal maut si sazaa Yahaan jeeke ke lie hi sahi us maut se baahar nikalna padta hai Ho jaae agar yahaan ishq kisi se bepanaah Us ishq ko paane ke khatir aksar hans hans ke yahaan akhiyon ki baarish se guzarna padta hai
Paana apne pyaar ko yha aasaan nhi hai katai Kabhi zamaana,kabhi kismat na jaane kaisi kaisi kaatilaana galiyon se gujarna padta hai Kabhi hanste the bachpan mein jo bachche bin wajah hi Un bade hue bachcho ko fir aage jeene ke lie zahar ka ghoont kabhi na kabhi nigalna padta hai
Aasaan si ho jaae zindagi sabhi ki,yhi dua karta hu aksar Khud jo jhela jeewan mein koi aur na jhele wo sab Par ye life hai janaab,yahaan do din ki khushi paane ko Khoon paseene ki holi se khud ko rangana padta hai
Yakeen jiska har pal kiya soche samjhe bina Yakeen tod de agar wo shakhs kabhi Fir kisi pe yakeen aane ko Maut ke kue mein dhakelke fir se nikalna padta hai
Thoda kuch paane ke lie kuch bht kuch khona padta hai Maaloom hai humein bhi kabhi-kabhi khud ki khushi ko khud rulaake sona padta hai
Comments
Post a Comment